yaad jab aaya koi bichhda hua zakhm dil ka aur bhi gahra hua hum bhi apne waqt ke bigde hue wo bhi apne waqt ka tuta hua tutna tha dil parae hath se aap se tuta chalo achchha hua dosti-o-mahr-o-isar-o-wafa in sarabon par mujhe dhoka hua aap qimat kyon lagate hain meri main koi sauda nahin bikta hua main to itna jaanta hun bas 'asar' jo hua mere liye achchha hua