manzar-manzar aankhon mein mahfuz rakha hai sab ka sab lamha-lamha jo guzra hai dil pe likha hai sab ka sab bachpan aangan gali mohalla aur wo apna kachcha ghar barson ba'd bhi aankhon mein wo ghum raha hai sab ka sab tikhe tewar bap ka ghussa man ki mamta lad dular mere liye ye besh-qimti sarmaya hai sab ka sab maktab basta dant pitai chehra-chehra taswiren apni bhulen khata shararat yaad aata hai sab ka sab mele thele jhula chakri holi diwali rakhi goth eid moharram zehn mein mere basa hua hai sab ka sab ambi bhutte ganna kakdi khet ped pagdandi chhanw ber aam amrud-o-imli yaad aaya hai sab ka sab gilli danda kud kabaddi anti kho-kho chhupa chhupi sondhi mitti jhengur jugnu khwab hua hai sab ka sab hatim-e-tai aala-udal katha kahani pagal-pan main ne raaton jag jag kar padh dala hai sab ka sab rozi-roti fikr masaib thakan masafat chhaale tis ye hi apni himmat ka saman bana hai sab ka sab biwi bachche nati pote dost shanasa rishte-dar mere usulon se na-waqif ek kumba hai sab ka sab dukh bimari aur budhapa talkh tajrabe ehsasat ab ek insan mere andar jhel raha hai sab ka sab jod-ghatao guna hasil ko main ne la kar sifar talak ab tak jis ka jo dena tha chuka diya hai sab ka sab apni likkhi chand bayazen chand risale chand kutub is ke siwa jo kuchh bhi kamaya bant diya hai sab ka sab khuddari ko bech na paya do roti ke liye 'asar' jo jurmana waqt ne chaha ada kiya hai sab ka sab