yaad ka phir koi darwaza khula aakhir-e-shab dil mein bikhri koi khushbu-e-qaba aakhir-e-shab subh phuti to wo pahlu se utha aakhir-e-shab wo jo ek umr se aaya na gaya aakhir-e-shab chand se mand sitaron ne kaha aakhir-e-shab kaun karta hai wafa ahd-e-wafa aakhir-e-shab lams-e-jaanana liye masti-e-paimana liye hamd-e-bari ko uthe dast-e-dua aakhir-e-shab ghar jo viran tha sar-e-sham wo kaise kaise furqat-e-yar ne aabaad kiya aakhir-e-shab jis ada se koi aaya tha kabhi awwal-e-shab usi andaz se chal baad-e-saba aakhir-e-shab