yaad-e-ghazal-chashman zikr-e-saman-azaran jab chaha kar liya hai kunj-e-qafas bahaaran aankhon mein dard-mandi honton pe uzr-khwahi jaanana war aai sham-e-firaqyara namus-e-jaan-o-dil ki bazi lagi thi warna aasan na thi kuchh aisi rah-e-wafa-shiaran mujrim ho khwah koi rahta hai nasehon ka ru-e-sukhan hamesha su-e-jigar-figaran hai ab bhi waqt zahid tarmim-e-zuhd kar le su-e-haram chala hai amboh-e-baada-khwaran shayad qarib pahunchi subh-e-visal hamdam mauj-e-saba liye hai khush-bu-e-khush-kinaran hai apni kisht-e-viran sarsabz is yaqin se aaenge is taraf bhi ek roz abr-o-baran aaegi 'faiz' ek din baad-e-bahaar le kar taslim-e-mai-faroshan paigham-e-mai-gusaran