yaad kar kar ke aahen bharte hain un ke kuche se jab guzarte hain ishq to aap hi se karte hain phir bhi izhaar se wo darte hain zakhm-e-ulfat magar nahin bharte chaaragar to ilaj karte hain aaina un mein dub jata hai aaine mein jo wo sanwarte hain meri fitrat mein hai wafadari aur mujh se gila wo karte hain ishq mein hae hai ajab haalat hum na jite hain na hi marte hain ru-ba-ru jab bhi hum nahin hote un ke gesu kahan sanwarte hain hum musafir hain rah-e-ulfat ke raste mein kahan thaharte hain