zindagani jab kahani ho gai

zindagani jab kahani ho gai
wo kahani khud purani ho gai

zindagi ne jo masarrat pai thi
wo khushi aankhon ka pani ho gai

jaan di dil de diya sauda kiya
baat ye sari zabani ho gai

baat us ne raste mein jab na ki
main ye samjha wo siyani ho gai

dagh daman pe hamare jo lage
kya ye ulfat ki nishani ho gai

un ke aane se hua masrur main
zindagi ki mehrbani ho gai

ishq ne phera tasawwur ko mere
ye zamin ab aasmani ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close