yaad karne ka tumhein koi irada bhi na tha aur tumhein dil se bhula den ye gawara bhi na tha har taraf tapti hui dhup thi ai umr-e-rawan dur tak dasht-e-alam mein koi saya bhi na tha mishal-e-jaan bhi jalai na gai thi hum se aur palkon pe shab-e-gham koi tara bhi na tha hum sar-e-rah-e-wafa us ko sada kya dete jaane wale ne palat kar hamein dekha bhi na tha ho gai khatm sarabon mein bhatakti hui zist dil mein hasrat hi rahi dasht mein dariya bhi na tha kis khamoshi se jala daman-e-dil ai 'gulnar' koi shola bhi na tha koi sharara bhi na tha