yaad karne se pahle bhulana pada ye zahr tha magar aazmana pada jaan kar bhi ke hai tirgi bad buri jaan kar bhi ise gudgudana pada rahbar ke zehn ko samajhne hamein rahzan ke mohalle mein jaana pada ab hansi aa rahi hai ki kis ke liye hae kis ke liye mar khana pada aap to sar tika kar ke chalte bane aur yun hi raha phir ye shana pada zindagi zindagi zindagi zindagi is buri nazm ko gungunana pada dozakhi mein rئlai to likkhi hi thi par ghazab ye hua muskurana pada