hayat-e-ishq ko itna to nur-fam karen mah-o-nujum adab se jise salam karen nazar mila ke jo karte hain baat suraj se wo dubte hue taron se kya kalam karen abhi to waqt hai tazin-e-mai-kada ke liye bajae rakhna-gari mil ke koi kaam karen utho utho ki mashaghil hain aur bhi yaro fasana-e-gham-e-mazi yahin tamam karen bulandiyon se pukara gaya hai yun 'ghausi' ki ahl-e-ishq bhi hasil koi maqam karen