yaad ki subh Dhal gai shauq ki sham ho gai

yaad ki subh dhal gai shauq ki sham ho gai
aap ke intizar mein umr tamam ho gai

pi hai jo ek bund bhi jag padi hai zindagi
aisi sharab-e-jaan-faza kaise haram ho gai

sath kisi ne chhod kar tod diya kisi ka dil
chal to pada tha karwan rah mein sham ho gai

nikle ba-yaad-e-mai-kada taron ke sath sath hum
jam tak aa ke zindagi mah-e-tamam ho gai

ras na aai zist ko subh-e-bahaar ki hawa
ahl-e-junun ki anjuman khalwat-e-jam ho gai

aaj wo muskura diye aaj hamari zindagi
aag se phul ban gai phul se jam ho gai

bazm se be-zaban uthe rah mein guftugu na ki
kaise hamari dastan shahr mein aam ho gai

raat ki jashn-gah par os padi hai nind ki
baad-e-sahar na jaane kyun mahw-e-khiram ho gai

sun li zaban-e-khalq se hum ne ghazal 'shamim' ki
kaun si khas baat hai kis liye aam ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close