le dida-e-tar jidhar gae hum dabre jo the khushk bhar gae hum tujh ishq mein roz-e-khush na dekha dukh bharte hi bharte mar gae hum tera jo sitam hai us ki tu jaan apni thi sau khub kar gae hum ye qita padhe tha soz-e-dil se sauda ke jo raat ghar gae hum jun shama labon par aa raha ji tan tha so gudaz kar gae hum itni bhi patang pesh-qadmi! gar sham nahin sahar gae hum hogi na kisi ko ye khabar bhi us majlis se kidhar gae hum