yaad kya kya log dasht-e-be-karan mein aae the rang lekin kab ye chashm-e-khun-fishan mein aae the kis tamanna se tumhein dekha tha kis chahat se hum raqs karte halqa-e-waraftagan mein aae the suraten kya kya dil-e-aina-gar mein bas gain hum se be-surat bhi to bazm-e-jahan mein aae the sadgi se hum ne samjha tha hamara zikr hai tazkire kuchh aur hi un ke bayan mein aae the har nai mushkil pe hum socha kiye hain der tak log pahle bhi to kuchh shahr-e-butan mein aae the ye gul-e-tar ki si khushbu kis taraf se aa gai hum bagule the bhala kab gulistan mein aae the kyun hamare sans bhi hote hain logon par giran hum bhi to ek umr le kar is jahan mein aae the