charagh-e-zist maddham hai abhi tu nam na kar aankhen abhi ummid mein dam hai abhi tu nam na kar aankhen kabhi to wasl ki chaaragari bhi kaam aaegi abhi to hijr marham hai abhi tu nam na kar aankhen abhi to samne baithi hun bilkul samne tere abhi kis baat ka gham hai abhi tu nam na kar aankhen abhi jo fikr hai teri use sabit to hone de abhi yaron mein dam-kham hai abhi tu nam na kar aankhen sarabon se abhi ummid ke jharne nahin phute ajab tishna sa aalam hai abhi tu nam na kar aankhen bahaaren hon na hon phir bhi chaman khali nahin rahta ye mausam gham ka mausam hai abhi tu nam na kar aankhen abhi manzar badalte hi badal jaenge sab chehre bichhadte waqt ka gham hai abhi tu nam na kar aankhen abhi ai bulbulo gao na naghme tum bahaaron ke abhi to lutf-e-paiham hai abhi tu nam na kar aankhen