yaad mein teri do-alam ko bhulana hai hamein

yaad mein teri do-alam ko bhulana hai hamein
umr bhar ab kahin aana hai na jaana hai hamein

kahte hain ishq ka anjam bura hota hai
ab to kuchh bhi ho mohabbat ko nibhana hai hamein

khalish-e-ishq se bechain hai dil ek taraf
is pe yarab gham-e-hasti bhi uthana hai hamein

hae wo aag jo mushkil se jali thi dil mein
aaj us aag ke shoalon ko bujhana hai hamein

rukhsat-e-arz-e-tamanna nahin milti na mile
qissa-e-shauq nigahon se sunana hai hamein

aap kanton se jo bachte hue chalte hain chalen
daman-e-shauq ko phulon se bachana hai hamein

hae is sharm-e-mohabbat ka bura ho 'taban'
ishq ka raaz khud un se bhi chhupana hai hamein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close