yaad raaton mein aa gaya koi raat mujh ko rula gaya koi mujh ko sine se mat laga saqi mujh mein kante bichha gaya koi ai hawa ja use khabar kar de apna wada nibha gaya koi sab ko hissa mila tha lekin kyun mere hisse ko kha gaya koi tere rone ki ek wajh to hai mujh ko yun hi rula gaya koi meri ghalati nahin hai ai patthar mujh ko pagal bana gaya koi