yaad rah jaen jo wo lafz-o-maani rakhna apni tahrir mein dariya ki rawani rakhna main chala aaunga bahke hue mausam ki tarah tum mere nam koi sham suhani rakhna log puchhen to koi baat na kahna un se dil mein poshida har ek gham ki kahani rakhna main jise dekh ke andaza laga lun tera apne nazdik koi aisi nishani rakhna ye to hum hain jo tujhe sath rakha hai 'shaariq' warna aasan to nahin dushman-e-jaani rakhna