waqt ki wusat mein raushan har nishan suraj ka hai har zamin suraj ki hai har aasman suraj ka hai us ke harf-o-lafz mein poshida hai raaz-e-hayat ta-qayamat rahne wala armughan suraj ka hai zindagi ki har kahani hai ujalon se judi kahkashan aatish-fishan aur shaegan suraj ka hai in sulagte parbaton mein dekhiye us ke nuqush hain sharare bhi usi ke aur dhuan suraj ka hai hain usi ke rang bikhre aasman-dar-asman aur zamin ki god mein ganj-e-rawan suraj ka hai wo mita de ya kara de par sahra ke 'miraq' main to hun mahw-e-safar ab imtihan suraj ka hai