yaad teri falak-e-pir liye baithe hain shikwa-e-gardish-e-taqdir liye baithe hain be-asar nala-e-shab-gir liye baithe hain ek tuti hui zanjir liye baithe hain mushaf-e-husn ki tafsir liye baithe hain dil mein hum aap ki taswir liye baithe hain jaane kab munhadim arkan-e-anasir ho jaen ret par jism ki tamir liye baithe hain us ne duzdida nigahon se kabhi dekha tha dil mein ab tak khalish-e-tir liye baithe hain naqsh-bar-ab hai dar-asl habab-e-hasti kab ye mumkin hai jo tamir liye baithe hain ek hi aah mein barham hai nizam-e-alam apne nalon mein wo tasir liye baithe hain zindagi maut hai aur maut hayat-e-jawed khwab-e-hasti ki ye tabir liye baithe hain daur-e-hazir mein ghanimat hai bahut ai 'shoala' aap jo izzat-o-tauqir liye baithe hain