jam gardish mein hai dar-band hain mai-khanon ke kuchh farishte hain yahan rup mein insanon ke shama ki aag mein dil jalte hain parwanon ke hausle dekhiye in sokhta-samanon ke sirf tashhir hai shayad mera afsana-e-gham aaj ahbab mein andaz hain beganon ke lazzat-e-khwab se begana hain mah-o-anjum sunne wale hain ye shayad mere afsanon ke fasl-e-gul rang-e-chaman daur-e-khizan husn-e-bahaar mukhtalif nam hain saqi tere paimanon ke ai mere naseh-e-khush-fahm zara ghaur se sun dost nadan hua karte hain na-danon ke chun liya hai jinhen gardun ne samajh kar tare hain 'shakil' aah ye tukde mere armanon ke