yaad use intihai karte hain so hum us ki burai karte hain pasand aata hai dil se yusuf ko wo jo yusuf ke bhai karte hain hai badan khwab-e-wasl ka danggal aao zor-azmai karte hain us ko aur ghair ko khabar hi nahin hum lagai bujhai karte hain hum ajab hain ki us ki banhon mein shikwa-e-narasai karte hain haalat-e-wasl mein bhi hum donon lamha lamha judai karte hain aap jo meri jaan hain main dil hun mujh se kaise judai karte hain ba-wafa ek dusre se miyan har-nafas bewafai karte hain jo hain sarhad ke par se aae wo bahut khud-satai karte hain pal qayamat ke sud-khwar hain 'jaun' ye abad ki kamai karte hain