nahin ki mujh ko qayamat ka e'tiqad nahin shab-e-firaq se roz-e-jaza ziyaad nahin koi kahe ki shab-e-mah mein kya burai hai bala se aaj agar din ko abr o baad nahin jo aaun samne un ke to marhaba na kahen jo jaun wan se kahin ko to khair-baad nahin kabhi jo yaad bhi aata hun main to kahte hain ki aaj bazm mein kuchh fitna-o-fasad nahin alawa id ke milti hai aur din bhi sharab gada-e-kucha-e-mai-khana na-murad nahin jahan mein ho gham-e-shadi baham hamein kya kaam diya hai hum ko khuda ne wo dil ki shad nahin tum un ke wade ka zikr un se kyun karo 'ghaalib' ye kya ki tum kaho aur wo kahen ki yaad nahin