yaadon ka koi dip jalae to baat hai wo chandni hai pas bulae to baat hai aa kar kisi bhi bagh mein mil jae khair hai gori agar na ghar pe bulae to baat hai phir zikr chahaton ka samaat ka husn ho phir dastan-e-wasl sunae to baat hai hai waqt mehrban to kare shad-kaam dil ye duriyon ke zakhm bhulae to baat hai rut hai milan ki us ke bhi raste mein aae hain taza gulab hath pe lae to baat hai 'ashiq' hai aashiqi ki zaruri hai gar use is aashiqi mein khud ko ganwae to baat hai