shahar mein lakh charaghan ho to kya hota hai mere ghar mein wahi mitti ka diya hota hai dard sine mein mere jab bhi mahak uthta hai zakhm yaadon ka teri aur hara hota hai dastan gham ki sinaon ye zaruri to nahin nafs-e-mazmun to chehre pe likha hota hai shiddat-e-gham se na mit jae kahin mera wajud roz ek gham meri chaukhat pe khada hota hai qatl karta hai wo har roz mujhe qiston mein mere ehsas mein jo dard chhupa hota hai teri mahfil se nikal jaun yahi achchha hai yahan har roz naya hashr bapa hota hai gharq ho jae na kashti kahin dar se 'arif' nakhuda kahta hai manjdhaar se kya hota hai