yaadon ke gul dil ke tu gul-dan mein rakh aaj bhi un ki surat apne dhyan mein rakh shahr-e-jafa mein ab us ne bisram kiya khat us ke ab sare aatish-dan mein rakh duniya ko saughat khushi ki bant sada gham poshida apne qalb-o-jaan mein rakh jaane dushman kis dam samne aa jae ghafil mat rah koi tir kaman mein rakh ye tere aslaf ka baqi wirsa hai is tuti talwar ko bhi saman mein rakh jis se dil-azari ho insanon ki aisa koi sitam na apni shan mein rakh dukhiyaron ke dard ka ye bhi darman hai gham-khwaron ke chehron ko muskan mein rakh ho ke dil-bardashta rishte tod na sab kuchh to jazbe dil ki bhi dukan mein rakh jaane 'sair' kab taqdir badal jae apne har mohsin ko tu pahchan mein rakh