yun nafraton mein mohabbat ke silsile dekhe

yun nafraton mein mohabbat ke silsile dekhe
jo todne pe na tute wo aaine dekhe

padega farq bhi kya un ke dur jaane se
qarib rah ke bhi hum ne to fasle dekhe

hua jo hum pe ayan khud nishan manzil ka
to raqs karte hue rah mein zalzale dekhe

khumar un ka abhi tak hai meri aankhon mein
jo main ne khwab ki surat mein rat-jage dekhe

zamin par hi nahin silsila judai ka
sitare hum ne falak ke bhi tutte dekhe

rahe wo ashk bahate jo mere apne the
lahad mein sath jo utre wo dusre dekhe

zamin pe aag laga di palak jhapakne mein
falak se tutte bijli ke zawiye dekhe

hamesha azmat-e-insan ke hum rahe qail
na ohde dekhe kabhi aur na martabe dekhe

nishat-o-gham ke kai zindagi mein mod aae
to talkh-o-shirin sabhi hum ne zaiqe dekhe

uda raha tha wo jaise mazaq khud apna
khushi ki bazm mein muflis ke qahqahe dekhe

sabab hain apni tabahi ka atomi hathiyar
hawa mein aadmi ke udte parkhache dekhe

ho shaeri se jise ishq us pe lazim hai
meri ghazal ko padhe aur qafiye dekhe

hamesha hansta hua dushmanon se pesh aaya
buland-tar the jo 'sair' ke hausle dekhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close