yaadon ke sab rang uDa kar tanha hun

yaadon ke sab rang uda kar tanha hun
apni basti se dur aa kar tanha hun

koi nahin hai mere jaisa chaaron or
apne gird ek bhid saja kar tanha hun

jitne log hain utni hi aawazen hain
lahjon ka tufan utha kar tanha hun

raushniyon ke aadi kaise jaanenge
aankhon mein do dip jala kar tanha hun

jis manzar se guzri thi main us ke sath
aaj usi manzar mein aa kar tanha hun

pani ki lahron par bahti aankhon mein
kitne bhule khwab jaga kar tanha hun

mera pyara sathi kab ye jaanega
dariya ki aaghosh tak aa kar tanha hun

apna aap bhi kho dene ki khwahish mein
us ka bhi ek nam bhula kar tanha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close