yad-e-baiza ruKH-e-yusuf dil-e-mansur hote hain

yad-e-baiza rukh-e-yusuf dil-e-mansur hote hain
jo tu dekhe to zarre bhi charagh-e-tur hote hain

gar is nukte ko kuchh samjha to sarw-e-pa-ba-gil samjha
ki bagh-e-dahr mein aazad bhi majbur hote hain

shabab-e-mast ki dhalti hui tarik raaton par
sahar hansti hai ya mu-e-siyah kafur hote hain

ho sadd-e-rah kyon tere liye sang-e-wajud apna
tu bebakana pa-e-naz utha hum dur hote hain

ye mai-khana hai ai shaikh-e-haram laghzida-pa ho ja
ki ek thokar se paida is jagah sau tur hote hain

sar-e-jamshed ko khisht-e-khum-e-sahba se takra den
gada-e-mai-kada bhi kis qadar maghrur hote hain

hiqarat ki nazar se khirqa-poshon ko na dekh ai dil
ki aksar in mein apne ahd ke mansur hote hain

muhayya sang-e-dar ai na-murad-e-zindagi kar le
ki jine ki tarah marne ke bhi dastur hote hain

na ho khun-e-jigar jin mein na aawaz-e-shikast-e-dil
wo aansu hun ki nale 'faiz' na-manzur hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close