yagana un ka begana hai begana yagana hai khudai se nirala un buton ka karkhana hai nigah-e-naz se said apna murgh-e-dil nahin hota kabhi udta nahin nawak se jo wo ye nishana hai udhar kaliyan chatakti hain idhar shor-e-anadil hai chaman mein kis ki aamad hai ye kaisa shadiyana hai junun ne ki hai qabr-e-qais ki is tarah aaraish charagh-e-ghul raushan hain bagula shamiyana hai hamara haal-e-dil sunne se dil par chot lagti hai uda deta hai nind aankhon se jo wo ye fasana hai phala-phula na kisht-e-dahr mein tukhm-e-umid-e-dil nahin aagah jo nashw-o-numa se ye wo dana hai jahan koshish zara ki naqd-e-mazmun us se hath aaya zamin-e-sher mein bhi dafn kya koi khazana hai bayan karta hai mere wasf aksar apni mahfil mein ye us ayyar ki mujh se lagawat ghaebana hai nawa-sanji se meri bulbulon ke hosh udte hain gulon se bhi kahin rangin siwa mera tarana hai tu mushtaqon se apne chashm-poshi roz karta hai tere didar ki daulat bhi qarun ka khazana hai urus-e-marg se shadi hui hai khun se lab tar hai gale mein ye shahid-e-naz ke joda shahana hai kal un se puchh lenge karte ho ab bhi dil-azari jahan tak chahen kar len zulm aaj un ka zamana hai hamein bakhshe na bakhshe dakhl ya marzi mein malik ki wagarna us ki rahmat ko to darkar ek bahana hai jabin-sa rahte hain har-dam malak jinn-o-bashar to kya dar-e-daulat sara-e-yar ka wo aastana hai anadil ki sada kya bum bhi hai jis jagah anqa 'qalaq' is gulshan-e-viran mein apna aashiyana hai