yar ke nargis-e-bimar ka bimar raha yahi aazar mere darpai-e-azar raha umr-bhar shefta-e-chashm-o-lab-e-yar raha kabhi surat rahi mujh ko kabhi bimar raha dil ko mere na zara ranj shab-e-tar raha sham-e-afroz khayal-e-rukh-e-kaddar raha lab pe dil-sokhton ke nala sharar-bar raha sard-mehri ka tere garm ye bazar raha main fida rukh pe wo zulfon ka giraftar raha dil ko tujh se na mujhe dil se sarokar raha khud-faroshi sar-e-bazar jo lai un ko misr mein ek na yusuf ka kharidar raha mere marne se phansa dam-e-gham-o-ranj mein wo main riha ho gaya sayyaad giraftar raha but-parasti mein bhi bhuli na mujhe yaad-e-khuda hath mein subha gale mein mere zunnar raha lakh asiron ko kiya tum ne riha zindan se ek mahrum-e-inayat ye gunahgar raha teri ai wahshat-e-dil dast-daraazi na gai baad-e-murdan bhi kafan mein na koi tar raha rauzan-e-qabr se jhanke jo wo isa aaya mar gae par bhi hamein did ka aazar raha chum lin nashshe mein aaj un ki nashili aankhen ain be-hoshi-e-lazzat mein bhi hoshiyar raha rukh se apne jo naqab us ne uthaya to kya parda-e-sharm-o-haya mane-e-didar raha dasht-e-wahshat mein rahe qais se lakhon hamrah sare diwanon ka main qafila-salar raha be-khata kaun dil-azar khafa tha tum se umr-bhar tu jo 'qalaq' zist se bezar raha