yahan alag se koi kab hisar mera hai mujhe samete hue khud ghubar mera hai na chhin paega mujh se koi nuqush-e-khayal ye phul mere hain ye shakh-sar mera hai chalun to dhup ka baadal hun main khud apni jagah rukun to har shajar-e-saya-dar mera hai padhun to nama kisi ka hai chehra chehra mujhe likhun to khama haqiqat-nigar mera hai jagah na de mujhe palkon pe kam nahin ye bhi ki maujzan teri aankhon mein pyar mera hai hisar bandh le mujh mein kaha udasi ne koi na aae yahan ye hisar mera hai na jaane kab se yahan muntazir tha main ai 'yas' khabar jab aai wahan intizar mera hai