ruh ko qalib ke andar jaanna mushkil hua lafz mein ehsas ko pahchanna mushkil hua le udi patte hawa to shakh-e-gul be-bas hui phul par sae ki chadar tanna mushkil hua apne khalwat-khana-e-dil se jo nikle to hamein sab ke gham mein apna gham bhi jaanna mushkil hua waqt ne jab aaina hum ko dikhaya ro pade apni surat aap hi pahchanna mushkil hua is mashini-ahd mein kya zat kya irfan-e-zat aadmi ko aadmi gardanana mushkil hua justuju-e-lal-o-gauhar se bhi baz aae wo log khirman-e-khashak jin se chhanna mushkil hua dil na chhota kijiye na-qadri-e-ahbab par aib-juyon ko hunar pahchanna mushkil hua kya karen 'jawed' is bahrupiyon ke daur mein gul ko gul kante ko kanta manna mushkil hua