yahan hansne pe bhi chehre ki virani nahin jati wo afsurda bhi rahte hain to tabani nahin jati jigar mein dil mein aankhon mein tasawwur mein takhayyul mein nihan ho kar bhi un ki jalwa-samani nahin jati hazaron bar ruswa ho ke aaya un ki mahfil se dil-e-nadan ki dekho phir bhi nadani nahin jati abhi shabnam abhi shoala abhi gul thi abhi kanta sitam-rani mohabbat ki sitam-rani nahin jati tamanna aarzuen hasraten sab ho gain rukhsat magar ek yaad hai un ki jo diwani nahin jati meri surat na pahchani to kuchh hairat nahin lekin meri aawaz bhi kya tum se pahchani nahin jati khushi to hai nahin aakar jo pal bhar mein chali jae mere gham ki kabhi tishna farawani nahin jati