yahan har aane wala ban ke ibrat ka nishan aaya gaya zer-e-zamin jo koi zer-e-asman aaya na ho garm is qadar ai shama is mein tera kya bigda agar jalne ko ek parwana-e-atish-ba-jaan aaya khuda jaane mila kya mujh ko ja kar un ki mahfil mein ki ba-sad na-muradi bhi wahan se shadman aaya jamaya rang apna main ne mit kar tere kuche mein yaqin-e-ishq mera ab to tujh ko bad-guman aaya na ho aazurda tu aazurdagi ka kaun mauqa hai agar mahfil mein teri 'wahshat'-e-azurda-jaan aaya