yahan har shakhs apne ghar se kam bahar nikalta hai badan kho baithne ke dar se kam bahar nikalta hai koi sauda mere sar mein samata hi nahin lekin sama jae to phir wo sar se kam bahar nikalta hai jahan suraj baras mein ek ya do din chamakta ho wahan saya kisi paikar se kam bahar nikalta hai zaminen dub jaana chahti hain pyas aisi hai magar sailab hi sagar se kam bahar nikalta hai wo jis haiwan ko patthar ke andar rizq milta ho wo patthar ka hai aur patthar se kam bahar nikalta hai na jaane kitni aawazen bulati hain use lekin ye sannata mere andar se kam bahar nikalta hai abhi aakash ka rishta nahin tuta zaminon se magar wo abr ki chadar se kam bahar nikalta hai