yahan kanp jate hain falsafe ye bada ajib maqam hai jise apna apna khuda kahen use sajda karna haram hai meri be-rukhi se na ho khafa mere naseha mujhe ye bata jo nazar se pita hun main yahan wo sharab kaise haram hai jo patinga lau pe fida hua to tadap ke shama ne ye kaha ise mere dard se kya gharaz ye to raushni ka ghulam hai shab-e-intizar mein bar-ha mujhe 'anwar' aisa guman hua jise maut kahta hai ye jahan wo kisi ke wade ka nam hai