yahan ki fikr wahan ka khayal rakkha hai akele donon jahan ko sambhaal rakkha hai siyah gesu ko shanon pe dal rakkha hai bala ka sanp sapere ne pal rakkha hai mujhe to hashr ke wade pe tal rakkha hai ajal ka nam badal kar visal rakkha hai ye din ke dosh pe bikhri hain sham ki zulfen ki ek machhere ke kandhe pe jal rakkha hai jis aaftab ko samjhe the sab ki dub gaya use gilass mein rindon ne dhaal rakkha hai ye kaun aisi pari hai ki jis ko rindon ne zamin se ta-ba-surayya uchhaal rakkha hai hamari tauba ka khun hai ki baada-e-rangin ye jam jam mein kya lal lal rakkha hai zamana deta hai mujh ko zawal ki dhamki na jaane kaun sa mujh mein kamal rakkha hai 'nazir' mar ke chukana padega qarz-e-hayat nahin gar aaj to kal intiqal rakkha hai