nasab ye hai ki wo dushman ko kam-nasab na kahe ajab ye hai ki ye duniya use ajab na kahe meri nigah junun mein ye baat bhul gai ki kab kahe mere jazbaat aur kab na kahe wo barhami ki jo ek dastan thi khatm hui use kaho ki wo us se wo baat ab na kahe wo be-zaban nahin hai to kam-nazar hoga jo chashm o lab tere dekhe magar ghazab na kahe use bhi hai mere jine ki aarzu 'shahpar' sukun hai ki ye ashaar be-sabab na kahe