yahan makinon se Khaali makan rahte hain

yahan makinon se khali makan rahte hain
mohabbaten nahin rahtin guman rahte hain

khuda kare ki sune tu zaban-e-khamoshi
tere pados mein kuchh be-zaban rahte hain

na kije takiya buzurgon ki dhalti chhanw par
kahan saron pe sada saeban rahte hain

yahi jahan hai hamara jahan-e-gumshudgi
yahi nishan ki bas be-nishan rahte hain

mohabbaten jis ufuq se tulua hoti hain
wahin pe mil ke zamin aasman rahte hain

tere suluk ne dhundla diye sab afsane
hum apne se bhi bahut bad-guman rahte hain

har ek shakhs ko majbur 'ah' mat jaano
ki shishe bhi kahin ban kar chatan rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close