yahan se chaaron taraf raste nikalte hain thahar thahar ke hum is khwab se nikalte hain kisi kisi ko hai tahzib-e-dasht-arai kai to khak udate hue nikalte hain yahan riwaj hai zinda jala diye jaen wo log jin ke gharon se diye nikalte hain ajib dasht hai dil bhi jahan se jate hue wo khush hain jaise kisi bagh se nikalte hain ye log so rahe honge jabhi to aaj talak zaruf-e-khak se khwabon bhare nikalte hain sitare dekh ke khush hun ki roz meri tarah jo kho gae hain unhen dhundne nikalte hain