tik ke baithe kahan bezar-tabiat hum se chhin hi le na koi aa ke ye neamat hum se bar-sar-e-am ye kahte hain ki hum jhute hain is bhare shahar mein zinda hai sadaqat hum se hum jo mazlum hain ek tarah se zalim hain hum har sitamgar ke bazu mein hai taqat hum se dekh pae na to aankhen hi bujha lin hum ne aur kya chahta hai lafz-e-sharafat hum se har ghadi sar ko hatheli pe sajae rakhna garmi-e-raunaq-e-bazar halakat hum se yani qatil ke liye rahm ka jazba mafqud is se badh kar nahin ho sakti adawat hum se hum zamin-zad falak-zad nahin hain phir bhi fan ki mearaj pe hai lafz ki hurmat hum se