yahan se jae tamam duniya mujhe bachae tamam duniya mujhe na toke main so raha hun diya jalae tamam duniya zara thakawat si ho rahi hai jagah banae tamam duniya zamin karwat badal rahi hai khala mein aae tamam duniya is ek misre mein kuchh nahin hai girah lagae tamam duniya yahan pe main aur wo rahenge yahan na aae tamam duniya mujh aisa koi khuda nahin hai agar banae tamam duniya