yahan shor bachche machate nahin hain parinde bhi ab git gate nahin hain wafa ke falak par mohabbat ke tare khuda jaane kyun jhilmilate nahin hain dilasa na de yun hamein shaikh sadi dilon mein samundar samate nahin hain wirasat mein waiz laqab pane wale mohalle ki masjid mein jate nahin hain musawwir ne taswir-e-fursat bana kar kaha waqt ko hum bachate nahin hain khas-o-khar se ghonsla shah kadi par ababil kyun ab banate nahin hain hamein tum sikhao tumhein hum sikhaen sabhi kaam to hum ko aate nahin hain ye duniya-e-do rang-o-roza ke manzar ki 'abrar' ab dil lubhate nahin hain