yahan suraj hansenge aansuon ko kaun dekhega chamakti dhup hogi jugnuon ko kaun dekhega phalon ki baghbani mein to barish ki du'a hogi guzarte khub-surat baadalon ko kaun dekhega agar hum sahilon par dor kante le ke baithenge to maujon mein chamakti titliyon ko kaun dekhega hai sardi waqa'i lekin ghane kohre ki yurish mein pahadon se utarti in bason ko kaun dekhega bahut achchha sa koi suit pahno tang-dasti mein ujalon mein chhupi in badliyon ko kaun dekhega abhi apne ishaare par hamein chalna nahin aaya sadak ki lal pili battiyon ko kaun dekhega