ye charag be-nazar hai ye sitara be-zaban hai abhi tujh se milta-julta koi dusra kahan hai wahi shakhs jis pe apne dil-o-jaan nisar kar dun wo agar khafa nahin hai to zarur bad-guman hai kabhi pa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana ye janam janam ka rishta tere mere darmiyan nahin hai mere sath chalne wale tujhe kya mila safar mein wahi dukh-bhari zamin hai wahi gham ka aasman hai main isi guman mein barson bada mutmain raha hun tera jism be-taghayyur mera pyar jawedan hai unhin raston ne jin par kabhi tum the sath mere mujhe rok rok puchha tera ham-safar kahan hai