yahan to phir wahi diwar-o-dar nikal aae kidhar ko yar chale the kidhar nikal aae kahan ka pa-e-wafa aur kahan ka dasht-e-talab ki ab to raste kai mukhtasar nikal aae hua rafiq na begar-e-shauq mein koi maqam-e-zar pe kai mo'tabar nikal aae gurez karte hain sae se bhi mere ahbab kahin idhar bhi na ye aashufta-sar nikal aae hua na koi bhi pursan-e-haal zindon ka mare huon ke kai nauhagar nikal aae rahe zara dil-e-khun-gashta par nazar 'anjum' usi sadaf se ajab kya guhar nikal aae