yahan to sirf kapason ke rang uDne lage

yahan to sirf kapason ke rang udne lage
udhar ghaliz mashinon ke rang udne lage

gharib shakhs ki shohrat hasad ugati hai
kanwal khila to gulabon ke rang udne lage

hamare panw ke jhadne ki baat phail gai
tamam shahr ki sadkon ke rang udne lage

jhalak rahi thi kafan se safed kilkari
bade buzurgon ki qabron ke rang udne lage

kai labon ki ayaadat ko multawi kar ke
wo hans pada to dilason ke rang udne lage

dua ko hath uthae to rizq aan gira
phir us ke baad jo kason rang udne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close