yahi be-laus mohabbat yahi gham-khwari-e-khalq aur meraj kise kahte hain insanon ki nam hai kya isi hangame ka aaghaz-e-shabab ek aandhi si chali aati hai armanon ki jis qadar ishq se hoti hai fuzun wusat-e-fikr aql rakhti hai binaen nae zindanon ki apni maut apni tabahi ki taraf kya dekhen ki nigahen taraf-e-shama hain parwanon ki ho gai umr bahaaron ke tasawwur mein tamam sair karte rahe na-did gulistanon ki ma-siwa is ke nahin aur kuchh afsana-e-hind ek tarikh hai ujde hue kashanon ki