ye aarzu hai ki wo nama-bar se le kaghaz bala se phad ke phir hath mein na le kaghaz wo kaun din hai ki ghairon ko khat nahin likhta qalam ke ban ko lage aag aur jale kaghaz tamam shahr mein tashhir mere bad-khu ne payam-bar ko kiya bandh kar gale kaghaz baha dun aise kai daftar ashk ki rau mein kiye hain jama are ghafilo bhale kaghaz payam-bar mujhe aisa koi nahin milta ki hila-ju se mere le hi kar tale kaghaz 'bayan' ko zof hai itna ki baad-e-tund ke roz jo khat likhe to use le ke ud chale kaghaz