yahi bekasi thi tamam shab usi bekasi mein sahar hui na kabhi chaman mein guzar hua na kabhi gulon mein basar hui ye pukar sare chaman mein thi wo sahar hui wo sahar hui mere aashiyan se dhuan utha to mujhe bhi is ki khabar hui mujhe kya agar tere dosh se teri zulf ta-ba-kamar hui ki main aisa khana-kharab hun kabhi chhanw mein na basar hui tujhe fakhr apne sitam pe hai ki asa-e-rah-numa bana mujhe naz apni wafa pe hai ki charagh-e-rahguzar hui main teri bala se ujad gaya tera hausla to nikal gaya ye badi khushi ka maqam hai ki ye id bhi tere ghar hui