zamin-o-asman sab ek se hain hamare mehrban sab ek se hain kise apna kahin kis ko paraya jahan hum hain wahan sab ek se hain jahan walon ke zahir par na jao ye baatin mein miyan sab ek se hain nahin kuchh farq tujh mein aur mujh mein ki hum ahl-e-jahan sab ek se hain na kyun sabit ho jurm-e-be-gunahi gawahon ke bayan sab ek se hain wahi guzra hai dil ki rahguzar se ki qadmon ke nishan sab ek se hain yahan ke rahne wale mukhtalif hain magar 'khawar' makan sab ek se hain